Unke deedar bhar se, hum nazm aey paushak siya karte hai
Unki katil nazro ke war se, hum nishane bazi sikha karte hai
Unki matwali chal ko dekh kar, hum safar ka rukh kiya karte hai..
Unki haseen muskurahat ke liye, hum apne ansu kurban kiya karte hai..
Ek nazar dekh le jo wo humein, bin hathiyar mar jaye hum.
Agar wo kuch lafzein bayan kardein, to khamosh sune sar jhukaye hum..
Wo, wo hai, jinka humko sadiyo se tha intzar..
Unko dhunda humne Mazjid ki har darwaz e minar..
Ab mil hi gaye hai humko, to roshan hui hai apni takdeer..
Gum nahi humko ki unke pyar ke liye, ban gaye hai hum fakeer..
Jholi falaye ghumte hai unke agey peeche..
Kya pata kab chod de wo nishan e wafa ke teer..
Anushka tunmhare likhe har akshar me ek jaadu hai….Dil karta hai ki baar baar padta rahu…Fir bhi dil ko sakun nahi milta is liye ek baar aur pad leta hu. Unki haseen muskurahat ke liye hum apne aasun kurbaan kiya karte….hai.Yaar aapka jawab nahi.God bless u.
Thanks for reading! 🙂