Unki adaon ne humein maar dala..
Haye rey kya sitam unhone hum par na dala..
Haye wo andaz unka nazre churane ka..
Haye kya kahein wo gussa un par zamane ka..
Wo khila hua chehra, wo lal hua gulab..
Bataiye bhala hosh mein kaise rahe hum janab?
Na wo kuch bole hum se, na hum unse kuch keh paye..
Na nazrein mili humari unse aur na wo humko dekha kiye..
Humara mehboob aisa hai.. ki kya bataye. .
Wo zuban aj tak nahi bani aur na hi kabhi ban payegi..
Jis mein hum keh payein..
Haye sanam kitne pyare hai aur kaun, kya hai wo?
Bahut khubsurati se likha hai aap ne. Dil KO chuu jati hai aapki shayri….all the best….n keep it up
Kya khub likha hai……pad kar achcha laga……umminnd karta hu aage bhi aapki kalam se qyamat barasti rahegi.khuda haafiz.
Bas jo man mein aya likh diya hai. shayari ati nahi mujhko.. tareef ke liye shukriya..