Kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..

Lafz bante hain dil ki zubaan akhir kab tak?

Hum jo likhte hain behosh hue hain kab tak?

Wo jo aate hain dil ki dhakanein chura lete hain..

Wo jo jaate hain to dil ko baitha jaate hain…

Unke aane ki khabar kya jo milti hai…

Unke charcho se hi shaam jawan hoti hai..

Kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..

Wo jo muskuradein tuk dekh ke hamari taraf..

Kya kahein kaisi bijliyan gira karti hain..

Unke takne ka apna andazey bayaan hai sabse juda..

Wo jo na dekhein to bhi kayamatein bayaan hoti hain..

Unki hasti hai.. wo hasti jinse meri hasti hai..

Kaise keh du ki zindagi unse juda hoti hai..

 

 

Na hu main is kabil – Hindi Poem

Na hu main is kabil, kya batau hu kitna main jahil..
Jo tha mujhko gumaan, ki jhuka dunga sara jahan..
Tujhe mil ke hi to jana hai, ki khud kya hu hasti main?
Andhi chale gum ki to ro main du, khushi mein kya bada jo muskura bhi du?
Maya ke galiyaro mein, tha khud hi ko bhula main..
Is nasheman ki duniya se, tune hi to nikala hai..
Tere baare mein kya bolu, kya kisi se bhi keh main saku…
Jahan dekhu, dikhta hai sab tera jadu..

Tune jabse haath yu mera thaama hai

Tune jabse haath yu mera thaama hai..
Bhula diya maine jab khud hee ko..
Ab kya ye duniya kya ye zamana hai?

Chod kar sabko jo tujhe yaad kiya..
Tune akar mujhe barbaad kiya..
Cheen ke chain mujhe bechain kiya..
Dil ye lekar mera, dard-e-dil jo diya..
Par haiye.. ye dard kitna suhana hai..
Tune jabse hath yu mera thaama hai..

Dard e dil mein aisa aya maza..
Pa ke tujhko rahi koi na raza..
Tham le mujhko ya dede tu saza..
Main to teri hi bas rahungi sada..
Ye jo shikwa hai ye bahaana hai..
Tune jabse hath yu mera thaama hai..

Raah Chalte Hue Ja Baitha Main..

Raah chalte hue ja baitha main..

Ek lawaris pathar ki tarha..

Jo main tha pada raste mein..

Khayi thokar ek baar nai bas har baar..

Koi na sun paya meri dard ki aahon ko..

Tu hi hai wo ek jisne wo mehsus kiya..

Daya kha kar mujh bhikhari par..

Tune mera hath jo ab hai thaam liya..

Hai bharosa mujhe khud se zyada..

Tu na chodega mujhe janhannum mein bhi..

Jeena marne se nahi darta hu main..

Par tera daman mein chupa lena..

Hai tu hii ek sahara mera..

Mujhe charno mein bas apne jagah dena..

Teri ummeed mein – Hindi Poem

Teri ummeed mein hi jee raha hu main ..

Teri ummeed mein hi jeeta rahunga..

Kabhi hatho ki lakeero mein, kabhi tasveero mein..

Tera hi chehra bas khilta rahega..

Tu mujhe dekhe ya mujhe bhule..

Tera ye ashiq bas tera rahega..

Tu mujhe kaanto mein ya phulo mein rakhe..

Teri marzi mein hi main shamil rahunga..

Jaanta hu main nahi hu kaabil tere..

Par teri ore main yu badhta rahunga..

Ahista ahista pilade mujhe saki..

Nahi main pyaasa hi tarasta rahunga..

Teri ummeed mein hi jee raha hu main..

Teri ummeed mein hi jeeta rahunga..

Samundar ke beech mein hu kinara dhunti hu-Hindi Poem

Samundar ke beech mein hu.. kinara dhunti hu..

Tere daman mein chupa le, sahara dhundti hu..

Ansu ban ke girta hai, dil se nikal ke dard mera..

Itni daya karde bas main ban jau sirf tera..

Ayega tu ek din, dil ko mere hai pura yakin..

Ankhein takti hai meri, darwaze par teri rah har din..

Main tadapti hu yaha agar, waha tujhe bhi chain kaha hoga?

Tu to brahman badshah hai.. tu mere haal se anjaan kaha hoga?

Tere liye pyar ka tohfa saja ke baithi hu..

Papo ki gadhri, pashyatap ke ansu aur teri yad le kar baithi hu..

Dar lagta hai kabhi kabhi, kahi tu ho na jaye mujhse khafa..

Par phir sochti hu, kusurwar main hi hu, tu to karta aya hai sirf wafa..

Bhul gayi thi main tujhe, is zamane ki chahat mein..

Ab maza nahi ata mujhe, is sajawat, is banawat mein..

Mujhe pata hai tu chup ke baitha hai, is dil ke mandir mein..

Aja bahar aja, gale se laga le mujhe, bas ek baar..bas ek baar..

Shayari meri kalam se

“Zakhm dete hai apne mujhe, hairan nahi hoti mai.. Gair bhi jab bina wajah, pathar ke tohfe dete hai, to sochti reh jati hu mai.. akhir kyo?”

“Hosh mei laye wo mujhe, dekh unhein phir hum behosh hue..Ya Allah, aisa khubsurat chehra, ye qatil adayein, jo dekh le, kaise na hosh khoye?”

“Unki ankhein hai ya madira ki pyali hai, bin piye nashe mein jhoom jata hai dil”

“Ahista Ahista Pyar Badhta Ja Raha Hai, Bekhudi Ka Nasha Kuch Kuch Chadhta Ja Raha Hai.. Unko dekhenge jab, na jane kya haal hoga tab, Khayalo mein hi unke maza araha hai behisab..”

“Pyar tumse kar baithi hu, dil tumko haar baithi hu.. Ajao mujhe lene ab, main kab se tayyar baithi hu..”

“Pagal kehte hai mujhe duniya wale.. Arey koi inse puche, kaun napagal hai khuda ke is pagal khane mein”

“Zakhm deta ja mujhe, koi gum nahi hai.. Par shart ye hai ki, meri har dard e cheekh par yad ana hoga tujhe.”

“Dhadka Dhadka ke is Dil ko itna daudaya hai unhone ..Ki Ab unka naam lete hi dhadak ke daud jata hai dil..”

“Wada kiya hai agar, to nibhayenege wo zarur.. Gum nahi ki aye der se wo, kayamat tak rah takte jayenge hum huzur.”

Khamoshi ke saye mein bhi – Hindi Poem

Khamoshi ke saye mein bhi..

Dil cheekh ke unko pukarta hai..

Ankho ke palko ke sahare..

Ansu chupa lete hai hum..

Unka deedar ho jaye,  to khushi karti hai mastana..

Wo na mile, to judai kar deti hai deewana..

Unki kaali ghani zulfein, din mein andhera karti hai..

Unke moti jaise daat, chanda ko ishara karte hai..

Unke gulabi hoth,  gulabi gulab se bhi komal hoth..

Unki ankho ka wo kajal, wo zari se chamakta anchal..

Unki har ada ka andaz, hai sabse juda, sabse khas..

Wo itne pyare hai, unsa pyara hai unka naam..

Unka naam jab bhi le,  ruh ko milta hai sukoon, araam..

Unke deedar bhar se, hum nazm aey paushak siya karte hai

Unke deedar bhar se,  hum nazm aey paushak siya karte hai

Unki katil nazro ke war se, hum nishane bazi sikha karte hai

Unki matwali chal ko dekh kar, hum safar ka rukh kiya karte hai..

Unki haseen muskurahat ke liye,  hum  apne ansu kurban kiya karte hai..

Ek nazar dekh le jo wo humein, bin hathiyar mar jaye hum.

Agar wo kuch lafzein bayan kardein, to khamosh sune sar jhukaye hum..

Wo, wo hai, jinka humko sadiyo se tha intzar..

Unko dhunda humne Mazjid ki har darwaz e minar..

Ab mil hi gaye hai humko, to roshan hui hai apni takdeer..

Gum nahi humko ki unke pyar ke liye, ban gaye hai hum fakeer..

Jholi falaye ghumte hai unke agey peeche..

Kya pata kab chod de wo nishan e wafa ke teer..

Unki adaon ne humein maar dala – Hindi Love Poem

Unki adaon ne humein maar dala..

Haye rey kya sitam unhone hum par na dala..

Haye wo andaz unka nazre churane ka..

Haye kya kahein wo gussa un par zamane ka..

Wo khila hua chehra, wo lal hua gulab..

Bataiye bhala hosh mein kaise rahe hum janab?

Na wo kuch bole hum se, na hum unse kuch keh paye..

Na nazrein mili humari unse aur na wo humko dekha kiye..

Humara mehboob aisa hai.. ki kya bataye. .

Wo zuban aj tak nahi bani aur na hi kabhi ban payegi..

Jis mein hum keh payein..

Haye sanam kitne pyare hai aur kaun, kya hai wo?