Samundar ke beech mein hu kinara dhunti hu-Hindi Poem

Samundar ke beech mein hu.. kinara dhunti hu..

Tere daman mein chupa le, sahara dhundti hu..

Ansu ban ke girta hai, dil se nikal ke dard mera..

Itni daya karde bas main ban jau sirf tera..

Ayega tu ek din, dil ko mere hai pura yakin..

Ankhein takti hai meri, darwaze par teri rah har din..

Main tadapti hu yaha agar, waha tujhe bhi chain kaha hoga?

Tu to brahman badshah hai.. tu mere haal se anjaan kaha hoga?

Tere liye pyar ka tohfa saja ke baithi hu..

Papo ki gadhri, pashyatap ke ansu aur teri yad le kar baithi hu..

Dar lagta hai kabhi kabhi, kahi tu ho na jaye mujhse khafa..

Par phir sochti hu, kusurwar main hi hu, tu to karta aya hai sirf wafa..

Bhul gayi thi main tujhe, is zamane ki chahat mein..

Ab maza nahi ata mujhe, is sajawat, is banawat mein..

Mujhe pata hai tu chup ke baitha hai, is dil ke mandir mein..

Aja bahar aja, gale se laga le mujhe, bas ek baar..bas ek baar..

Shayari meri kalam se

“Zakhm dete hai apne mujhe, hairan nahi hoti mai.. Gair bhi jab bina wajah, pathar ke tohfe dete hai, to sochti reh jati hu mai.. akhir kyo?”

“Hosh mei laye wo mujhe, dekh unhein phir hum behosh hue..Ya Allah, aisa khubsurat chehra, ye qatil adayein, jo dekh le, kaise na hosh khoye?”

“Unki ankhein hai ya madira ki pyali hai, bin piye nashe mein jhoom jata hai dil”

“Ahista Ahista Pyar Badhta Ja Raha Hai, Bekhudi Ka Nasha Kuch Kuch Chadhta Ja Raha Hai.. Unko dekhenge jab, na jane kya haal hoga tab, Khayalo mein hi unke maza araha hai behisab..”

“Pyar tumse kar baithi hu, dil tumko haar baithi hu.. Ajao mujhe lene ab, main kab se tayyar baithi hu..”

“Pagal kehte hai mujhe duniya wale.. Arey koi inse puche, kaun napagal hai khuda ke is pagal khane mein”

“Zakhm deta ja mujhe, koi gum nahi hai.. Par shart ye hai ki, meri har dard e cheekh par yad ana hoga tujhe.”

“Dhadka Dhadka ke is Dil ko itna daudaya hai unhone ..Ki Ab unka naam lete hi dhadak ke daud jata hai dil..”

“Wada kiya hai agar, to nibhayenege wo zarur.. Gum nahi ki aye der se wo, kayamat tak rah takte jayenge hum huzur.”

Unke deedar bhar se, hum nazm aey paushak siya karte hai

Unke deedar bhar se,  hum nazm aey paushak siya karte hai

Unki katil nazro ke war se, hum nishane bazi sikha karte hai

Unki matwali chal ko dekh kar, hum safar ka rukh kiya karte hai..

Unki haseen muskurahat ke liye,  hum  apne ansu kurban kiya karte hai..

Ek nazar dekh le jo wo humein, bin hathiyar mar jaye hum.

Agar wo kuch lafzein bayan kardein, to khamosh sune sar jhukaye hum..

Wo, wo hai, jinka humko sadiyo se tha intzar..

Unko dhunda humne Mazjid ki har darwaz e minar..

Ab mil hi gaye hai humko, to roshan hui hai apni takdeer..

Gum nahi humko ki unke pyar ke liye, ban gaye hai hum fakeer..

Jholi falaye ghumte hai unke agey peeche..

Kya pata kab chod de wo nishan e wafa ke teer..

Kya kahu, shabd bhi sharma jate hai – Hindi Love Poem

Kya kahu tumse , kaise kahu..

Tumhari khubsurti ke agey..

Shabd bhi sharma jate hai..

Tumhari neeli nashili ankhein..

Haye.. Pyar bhari bholi batein..

Uff wo hawa mein udti hui zulfein..

Tum hi batao dil kaise na fisle?

Jab tum ate ho, waqt thehar jata hai..

Jab tum jate ho, raqt jum sa jata hai..

Tumhare ane aur jane mein jaaneman..

Kahi lapata ho jati hai, mere dil ki dhadkan..

Kya kahu tumse, kaise kahu.

बिना तीर, बिना खंजर के खून किये जाते हो

बिना तीर, बिना खंजर के खून किये जाते हो

एक नज़र देखें क्या तुमको? दिसम्बर को भी जून किये जाते हो

सामने जब आते हो, देखें तुमको या कुछ कह भी पाएं
शायरी छोड़ो, हम तो खुद बोलना ही भूल जायें
जो सुन ले तुम्हारे मुख से गाली
तो फीकी लगे तारीफ की प्याली
क्या कहें तुमको, हम क्या बतलाएं
दर्द दे दिल का हाल हम क्या सुनाएं
तुम तो बस मुस्कुरा के चले जाते हो
हम को प्यार में पागल किये जाते हो

Khubsurat hai tu – Hindi Love Poem

Khubsurat hai tu is kadar..
ae zindagi rahi tu guzar..
dhundu jise main dagar dagar..
wo to basi hai mujhi mein har pahar..
agar sochu main zara sa magar..
to paungi tujhe hasta hua jane jigar..
kavita to ban gayi hai shabdo ki ye dagar..
misaj aj mazakiya hai.. arth na talashna tum magar..
dhup hai.. chav hai.. chota sa ek gaav hai..
kisi ka aana hai.. kisi ka jana hai..
ye khel bas chalte jana hai..
gaadi chalti rahe apni bhi haule haule..
khate hue chahe kitne hi hichkaule..
khel ka maza tabhi hai..
jab khiladi haar jeet se na ghabraye
bas khelte jaye aur khelte jaye..
agey badhne ka kaam hai is chidiya ka
jisko hum kehte hai zindgani..

Pata nahi kya likha hai, kuch shabdo ki bhul bhulaiya hai..

Pls comment if you liked it 🙂

Kisi ne bina khanjar ke.. khun mera aisa kiya hindi poem..

Kisi ne bina khanjar ke.. khun mera aisa kiya..

Katra katra beh gaya.. ashq bharne se pehle..

Thukraya jisne mujhko aj.. Ye na socha usne kabhi..

Kasmei Wadey ki hum na honge juda.. bhul gaya..

Itna sitam mujh par aj tak kisi ne dhaya nahi..

Ruh tak dard se meri haye kaap gayi..

Ilzam tujhe bhi kya du.. Katil kahu ya mustafa kahu

Tune ye na socha tha.. ki katl jiska karne chala..

Wo to waise hi bin zehar tha mar raha..

Yon to mere ghavo par char chand laga diye..

Kya kahu tujhe main sanam..

Garz mujhe iska hai..Ki tu mujhe samajh na saka..

Kash is chamde ke peeche dil mein jhaka hota zara..

Jhaakta to dikhta tab tujhe kitna dard .. kitna pyar tha..

Jo hai kaaton ki tarha dil mein chubh raha abhi..

Par tu koi gair nahi.. Tujhko maine jana hai..

Tujhe hi mana hai.. Main maaf karne se nahi darti tujhe..

Par tune dard se mar dala ab mujhe..

Hosh mein jab tu ayega..

Tab shayad tu payega..

Wo jo apna tha kabhi..

Aj kaha kho gaya..