Kisi ne bina khanjar ke.. khun mera aisa kiya..
Katra katra beh gaya.. ashq bharne se pehle..
Thukraya jisne mujhko aj.. Ye na socha usne kabhi..
Kasmei Wadey ki hum na honge juda.. bhul gaya..
Itna sitam mujh par aj tak kisi ne dhaya nahi..
Ruh tak dard se meri haye kaap gayi..
Ilzam tujhe bhi kya du.. Katil kahu ya mustafa kahu
Tune ye na socha tha.. ki katl jiska karne chala..
Wo to waise hi bin zehar tha mar raha..
Yon to mere ghavo par char chand laga diye..
Kya kahu tujhe main sanam..
Garz mujhe iska hai..Ki tu mujhe samajh na saka..
Kash is chamde ke peeche dil mein jhaka hota zara..
Jhaakta to dikhta tab tujhe kitna dard .. kitna pyar tha..
Jo hai kaaton ki tarha dil mein chubh raha abhi..
Par tu koi gair nahi.. Tujhko maine jana hai..
Tujhe hi mana hai.. Main maaf karne se nahi darti tujhe..
Par tune dard se mar dala ab mujhe..
Hosh mein jab tu ayega..
Tab shayad tu payega..
Wo jo apna tha kabhi..
Aj kaha kho gaya..
Hosh me jab tu aayega. Tab tu samajh payega… Ishq ka dard kya hota hai….beraham mohabbat me qatal hona kya hota hai….aakhiri katra tak lahu ka …..Apne qatil ko dena kya hota hai…Jab dhundoge mujhe is duniya ki bheed me……..meri kabar ka rasta bhi nahi khoj paoge.
Kya baat hai.. Wah Wah 🙂